Ishq Hamesha La-Hasil Nhin Hota........

majnoon ne shehar cchorra to sehra bhee cchorr day
nazaray ki hawas ho to layla bhee chorr day


wa'iz kamal-e-tark se yahan milti hai murad
dunya jo cchorr di hai to uqba bhee cchorr day

taqleed ki rawish se to behtar hai khudkushi
rasta bhee dhoond, khizr ka sawda bhee chorr day

manind-e-khama teri zuban par hai harf-e-ghair
begaana shay pay nazish-e-be-jaa bhee chorr day

lutf-e-kalam kia jo na ho dil me dard-e-ishq
bismil nahin hai tu to tarrapna bhee chorr day

shabnam ki tarah phoolon pe ro or chaman se chal
is baagh me qayam ka sawda bhee cchorr day

hai aashiqi me rasam sab se alag baithna
but-khaana bhee, haram bhee, kaleesa bhee chorr day


sodagari nahin yeh ibadat khuda ki hai
ay bekhabar jazaa ki tamana bhee chorr day


accha hai dil ke saath rahay pasbaan aqal
lekin kabhi kabhi isay tanha bhee chorr day

jeena woh kia jo ho nafs-e-ghayr par madaar
shohrat ki zindagi ka bharosa bhee chorr day

shokhi se hai sawal-e-mukarar me ay kaleem!
shart-e-raza yeh hai ke taqaaza bhee chorr day


waiz saboot laye jo may ke jawaz me
iqbal ko ye zid hai ke peena bhee chorr day